Mubarak Azimabadi

dekhe use har aankh ka ye kaam nahin hai

Mubarak Azimabadi

Darbhanga, Bihar, India

1849-1958
dekhe use har aañkh kā ye kaam nahīñ hai
kuchh khel tamāshā-e-lab-e-bām nahīñ hai
maiñ mo'tarif-e-jurm huuñ jo chāho sazā do
ilzām-e-tamannā koī ilzām nahīñ hai
vo sub.h bhī hotī hai shab-e-tār se paidā
jis ko ḳhatar-e-tīrgi-e-shām nahīñ hai
jo dil hai vo labrez-e-tamannā hai 'mubārak'
is jaam se achchhā to koī jaam nahīñ hai
Top Urdushayar.com