phir mile ham un se phir yaarī baḌhī
aur uljhā dil giraftārī baḌhī
mehrbānī chārasāzoñ kī baḌhī
jab baḌhā darmāñ to bīmārī baḌhī
hijr kī ghaḌiyāñ kaThin hotī ga.iiñ
din ke naale raat kī zaarī baḌhī
phir tasavvur meñ kisī ke niiñd uḌī
phir vahī rātoñ kī bedārī baḌhī
saḳhtiyāñ rāh-e-mohabbat kī na pūchh
har qadam ik taaza dushvārī baḌhī
ḳhair saaqī kī salāmat mai-kada
jis qadar pī utnī hushyārī baḌhī
daur-daure haiñ 'mubārak' jaam ke
intihā kī apnī mai-ḳhvārī baḌhī