Mubarak Azimabadi

tumhaari shart-e-mohabbat kabhi wafa na hui

Mubarak Azimabadi

Darbhanga, Bihar, India

1849-1958
tumhārī shart-e-mohabbat kabhī vafā na huī
ye kyā huī tumhīñ kah do agar jafā na huī
qadam qadam pe qadam laḌkhaḌā.e jaate the
tamām umr bhī tai manzil-e-vafā na huī
tumhīñ kaho tumheñ nā-āshnā kaheñ na kaheñ
ki āshnā se adā rasm-e-āshnā na huī
tirī adā kī qasam hai tirī adā ke sivā
pasand aur kisī kī hameñ adā na huī
hamīñ ko dekh ke ḳhanjar nikālte the aap
hamāre baad to ye rasm phir adā na huī
ḳhudā ne rakh liyā naaz o niyāz kā parda
ki roz-e-hashr mirī un kī barmalā na huī
Top Urdushayar.com