Ateeq Ahmad

aai hai jaane kaise ilaqon se raushni

Ateeq Ahmad

Paharpur, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1995
aa.ī hai jaane kaise ilāqoñ se raushnī
aur DhūñDhtī hai kis ko zamānoñ se raushnī
ho kar rahī vo ek zamāne pe munkashif
dīvār se rukī na darīchoñ se raushnī
mauj-e-yaqīñ ke haath na aa.ī tamām-umr
vo lau jise milī hai gumānoñ se raushnī
karte haiñ aaj us pe mah-o-āftāb rashk
āñkhoñ ko jo milī tire ḳhvāboñ se raushnī
mahkī huī huuñ aap kī qurbat se merī jaan
kal raat kah rahī thī charāġhoñ se raushnī
pahle maiñ ek harf-e-ujālā aur us ke ba.ad
aane lagī hai kitnī kitāboñ se raushnī
pahle charāġh-e-chashm ko raushan kiyā thā maiñ
phir phūTne lagī thī sitāroñ se raushnī
harf-e-suḳhan se khul ga.ī duniyā pe ai 'atīq'
dil meñ hai kaise kaise ḳhayāloñ se raushnī
Top Urdushayar.com