Mubarak Azimabadi

baghal mein humne raat ek ghairat-e-mahtab dekha hai

Mubarak Azimabadi

Darbhanga, Bihar, India

1849-1958
baġhal meñ ham ne raat ik ġhairat-e-mahtāb dekhā hai
tumhīñ is ḳhvāb kī ta.abīr ho kyā ḳhvāb dekhā hai
taḌap bijlī kī bhī dekhī hai vo dil thaam lete haiñ
tirī be-tābiyoñ ko bhī dil-e-betāb dekhā hai
vo ulfat dost hoñ nāseh duā hī dil se niklī hai
agar dushman ke ghar bhī majma-e-ahbāb dekhā hai
ḳhudā ke sāmne ai mohtasib sach bolnā hogā
mire sāġhar meñ mai dekhī hai yā ḳhūñ-nāb dekhā hai
'mubārak' iztirāb-e-shauq kā aalam nahīñ chhuptā
ki jab dekhā hai ham ne aap ko betāb dekhā hai
Top Urdushayar.com