na koī tiir na koī kamān baaqī hai
magar vo ik nigah-e-mehrbān baaqī hai
uḌā ke le ga.iiñ hijrat kī āñdhiyāñ sab kuchh
bas apne sar pe khulā āsmān baaqī hai
ik aur tiir chalā apnā ahd puurā kar
abhī parinde meñ thoḌī sī jaan baaqī hai
fazā meñ guuñj rahī hai sadā-e-mazlūmāñ
zabāñ ḳhamosh hai lekin bayān baaqī hai
miTā sakā na kabhī vaqt kā ġhubār use
fasīl-e-shab pe lahū kā nishān baaqī hai
hamāre shahr pe vīrāniyāñ musallat haiñ
makīñ to koī nahīñ hai makān baaqī hai
nafas nafas hai vahī āzmā.ishoñ kā safar
qadam qadam pe vahī imtihān baaqī hai
masal ye sach hai ki rassī ke bal nahīñ jaate
ukhaḌ chukī hai havā ān-bān baaqī hai
atā huī hai hameñ aisī jur.at-e-parvāz
ki par shikasta haiñ lekin uḌaan baaqī hai
kisī kināre lagā degī mehrbān havā
shikasta naav sahī bādbān baaqī hai
duā ke haath bhī shal ho ga.e magar ai 'nāz'
vahī zamīn vahī āsmān baaqī hai