Naz Qadri

phir siyah-posh hui sham nazar mein rakhna

Naz Qadri

Muzaffarpur, Bihar, India

1940-2019
phir siyah-posh huī shaam nazar meñ rakhnā
tum ye bedardī-e-ayyām nazar meñ rakhnā
maiñ ne bātil se kabhī sulh nahīñ kī logo
merī haq-goī kā in.aam nazar meñ rakhnā
ḳhuub hai dard-o-ġham-e-dil kā mudāvā lekin
ḳhud ko bhī ai dil-e-nākām nazar meñ rakhnā
Thokareñ khā ke sambhalte haiñ sambhalne vaale
ye jo patthar haiñ ba-har gaam nazar meñ rakhnā
imtihāñ-gāh-e-mohabbat se guzarne vaalo
roz-e-ā.shūra kā hañgām nazar meñ rakhnā
ka.aba-e-fan kī kashish khīñch rahī hai dil ko
fikr kab bāñdhegī ehrām nazar meñ rakhnā
intisāb-e-ġham-e-hastī ke liye ab ai 'nāz'
ḳhūb-sūrat sā koī naam nazar meñ rakhnā
Top Urdushayar.com