Aziz Hamid Madni

aatish-e-mina nazar aai harifana mujhe

Aziz Hamid Madni

Raipur, Chhattisgarh, India

1922-1991
ātish-e-mīnā nazar aa.ī harīfāna mujhe
ik taġhayyur kī ḳhabar detā hai paimāna mujhe
tishna-e-nāzuk mizājān-e-kanisht-o-dair kā
barhaman kahne bhī de ek-ādh afsāna mujhe
kis qadar hairat-asar niklī hai marg-e-andalīb
is sipās-e-jāñ se gul lagtā hai begāna mujhe
ik ḳhayāl-e-zulf-e-jānāñ ik havā-e-pech-pech
ik na ik zanjīr-e-sar rakhtī hai dīvāna mujhe
bosa-e-jānāñ meñ thī yuuñ to had-e-shukr-o-sipās
chāhiye ik larzish-e-lab bhī raqībāna mujhe
us ke paikar kī jhalak rāhoñ pe thī nazdīk o duur
kal ġhurūb-e-mahr thā ik ā.īna-ḳhāna mujhe
shahr jin ke naam se zinda thā vo sab uTh ga.e
ik ishāre se talab kartā hai vīrāna mujhe
Top Urdushayar.com