kabhī havā kabhī bijlī ke ham-rikāb huā
phir is ke ba.ad maiñ jiine meñ kāmyāb huā
nazar-navāz nazāre the mere chāroñ taraf
khulī jo aañkh to barham vo saarā ḳhvāb huā
kabhī jo bā.is-e-rāhat thā ahl-e-dil ke liye
ye kyā huā ki vo manzar bhī ab azaab huā
vo al-atash kī sadā.eñ vo karb-e-tishna-labī
furāt jis ke tasavvur se aab aab huā
hamārī chīḳh fazāoñ meñ kho ga.ī ya.anī
khulā darīcha koī vā na koī baab huā
hamāre qatl kī sāzish meñ thā sharīk to kyā
ḳhatā muaaf karam us kā be-hisāb huā
anā pasand tabī.at kī sarfarāzī dekh
ki 'nāz' ḳhaak meñ mil kar bhī āftāb huā