Aziz Hamid Madni

hazar waqt ke partaw-nazar mein hote hain

Aziz Hamid Madni

Raipur, Chhattisgarh, India

1922-1991
hazār vaqt ke partav-nazar meñ hote haiñ
ham ek halqa-e-vahshat-asar meñ hote haiñ
kabhī kabhī nigah-e-āshnā ke afsāne
usī hadīs-e-sar-e-rahguzar meñ hote haiñ
vahī haiñ aaj bhī us jism-e-nāznīñ ke ḳhutūt
jo shāḳh-e-gul meñ jo mauj-e-guhar meñ hote haiñ
khulā ye dil pe ki tāmīr-e-bām-o-dar hai fareb
bagūle qālib-e-dīvār-o-dar meñ hote haiñ
guzar rahā hai tū āñkheñ churā ke yuuñ na guzar
ġhalat-bayāñ bhī bahut rah-guzar meñ hote haiñ
qafas vahī hai jahāñ ranj-e-nau-ba-nau ai dost
nigāh-dārī ehsās par meñ hote haiñ
sirisht-e-gul hī meñ pinhāñ haiñ saare naqsh-o-nigār
hunar yahī to kaf-e-kūza-gar meñ hote haiñ
Tilism-e-ḳhvāb-e-zuleḳhā o dām-e-barda-farosh
hazār tarah ke qisse safar meñ hote haiñ
Top Urdushayar.com