Aziz Hamid Madni

ek-adh harif-e-gham-e-duniya bhi nahin tha

Aziz Hamid Madni

Raipur, Chhattisgarh, India

1922-1991
ek-ādh harīf-e-ġham-e-duniyā bhī nahīñ thā
arbāb-e-vafā meñ koī itnā bhī nahīñ thā
lab jalte haiñ mai-ḳhvāroñ ke siine nahīñ jalte
is darja ḳhunuk sho.ala-e-mīnā bhī nahīñ thā
ik us kā taġhāful hai vo yaad aa hī gayā hai
ik vāda-e-fardā hai vo bhūlā bhī nahīñ thā
kah sakte to ahvāl-e-jahāñ tum se hī kahte
tum se to kisī baat kā pardā bhī nahīñ thā
ab husn pe ḳhud us kā tasavvur bhī girāñ hai
pahle to girāñ ḳhvāb-e-zuleḳhā bhī nahīñ thā
pahle mirī vahshat ke ye andāz bhī kam the
pahle mujhe andāza-e-sahrā bhī nahīñ thā
ab ye hai ki thamtā huā dariyā hai tirī yaad
be-faiz ye dariyā kabhī aisā bhī nahīñ thā
achchhā to muravvat hī tirā bosa-e-lab hai
achchhā ye koī dil kā taqāzā bhī nahīñ thā
majnūñ ke sivā kis se uThī minnat-e-dīdār
āḳhir ruḳh-e-lailā thā tamāshā bhī nahīñ thā
Top Urdushayar.com