naqshe usī ke dil meñ haiñ ab tak khiñche hue
vo daur-e-ishq thā ki baḌe ma.arke hue
itnā to thā ki vo bhī musāfir-navāz the
majnūñ ke saath the jo bagūle lage hue
aa.ī hai us se pichhle pahar guftugū kī yaad
vo ḳhalvat-e-visāl vo parde chhuTe hue
kyuuñ ham-nafas chalā hai tū un ke surāġh meñ
jis ishq-e-be-ġharaz ke nishāñ haiñ miTe hue
ye mai-kada hai is meñ koī qaht-e-mai nahīñ
chalte raheñge chand subū dam kiye hue
kal shab se kuchh ḳhayāl mujhe but-kade kā hai
suntā huuñ ik charāġh jalā ratjage hue
merī vafā hai us kī udāsī kā ek baab
muddat huī hai jis se mujhe ab mile hue
allāh-re faiz-e-bāda-parastān-e-pesh-rau
nikle zamīñ se shīsha-e-mai kuchh dabe hue
maiñ bhī to ek sub.h kā taara huuñ tez-rau
āp-apnī raushnī meñ akele chale hue