Aziz Hamid Madni

juyan-e-taza-kari-e-guftar kuchh kaho

Aziz Hamid Madni

Raipur, Chhattisgarh, India

1922-1991
jūyān-e-tāza-kārī-e-guftār kuchh kaho
tum bhī hue ho kāshif-e-asrār kuchh kaho
shīsha kahīñ se laao sharāb-e-farañg kā
baaqī jo thī hikāyat-e-dildār kuchh kaho
jaane bhī do taġhayyur-e-ālam kī dāstāñ
kis haal meñ hai nargis-e-bīmār kuchh kaho
bādal uThe haiñ chashmak-e-barq-o-sharār hai
muñh dekhte ho sūrat-e-dīvār kuchh kaho
mutrib ko taaza bait sikhāo huā hai narm
guzre kisī tarah to shab-e-tār kuchh kaho
Thahrā huā hai vādi-e-ġham meñ ramīda vaqt
samjho bhī kuchh nazākat-e-bisyār kuchh kaho
zinda-dilān-e-shauq ne rakkhā bahār naam
ik mauj-e-ḳhūñ ga.ī sar-e-gulzār kuchh kaho
āġhāz har taġhayyur-e-ālam kī had huā
us kī galī kā sāya-e-dīvār kuchh kaho
uljhegā aaj jī ki havā pech pech hai
bantā nahīñ koī ruḳh-e-guftār kuchh kaho
Top Urdushayar.com