Aziz Hamid Madni

gil ka wo ruKH bahaar ke aaghaz se uTha

Aziz Hamid Madni

Raipur, Chhattisgarh, India

1922-1991
gil kā vo ruḳh bahār ke āġhāz se uThā
sho.ala sā andalīb kī āvāz se uThā
nau-dast zaḳhma-var ne miTā dī had-e-kamāl
parde jale tamām dhuāñ saaz se uThā
jaise duā-e-nīm-shabī kā surūd ho
ik shor mai-kade meñ is andāz se uThā
mahzar liye junūñ meñ savāl-o-javāb kā
parda sā ek dīda-e-ġhammāz se uThā
baaqī abhī hai tañgī-o-vus.at meñ ek farq
is ko bhī jumbish-e-lab-e-e.ajāz se uThā
isyāñ sarisht-o-pākī-e-dāmāñ kī ik dalīl
kyā lutf husn-e-tafraqaأpardāz se uThā
vo shaḳhs thā muraqqa.a-e-mānī kī ek zid
rañg-e-hazār husn-e-junnūñ-sāz se uThā
kāñTe zamīñ se aur ziyāda hue tulūa
ik mas.ala bahār ke āġhāz se uThā
bantī matā-e-kashf to kyā aa.ine kī chhūT
lazzat hī kuchh ishāra-e-ham-rāz se uThā
yārab tū laaj rakh mire shauq-e-fuzūl kī
duniyā hai niiñd meñ mirī āvāz se uThā
ik manzar-e-kināra-e-bām aur de gayā
partav sā koī us ke dar-bāz se uThā
maiñ kyā ki mere ba.ad bhī jo log vaañ ga.e
koī na us kī anjuman-e-nāz se uThā
'madnī' qafas meñ sub.h huī aur us ke ba.ad
dil se dhuāñ bhī hasrat-e-parvāz se uThā
Top Urdushayar.com