Aziz Hamid Madni

wo ek rau jo lab-e-nukta-chin mein hoti hai

Aziz Hamid Madni

Raipur, Chhattisgarh, India

1922-1991
vo ek rau jo lab-e-nukta-chīñ meñ hotī hai
suḳhan vahī dil-e-andoh-gīñ meñ hotī hai
koī vo shak kā añdherā ki jis kī jast ke ba.ad
chamak sī silsila-hā-e-yaqīñ meñ hotī hai
bahār chāk-e-garebāñ meñ Thahr jaatī hai
junūñ kī mauj koī āstīñ meñ hotī hai
vo ḳhaak anjum o mahtāb ko nasīb nahīñ
jo mauj marg o numū kī zamīñ meñ hotī hai
ġhunūda dīn-e-buzurgāñ meñ ab vo lau na rahī
jo ahd-e-nau ke ġham-e-ātishīñ meñ hotī hai
ye raat tā.ir-e-hijrat-zada ġhanīmat hai
tulū-e-sub.h savād-e-kamīñ meñ hotī hai
kabhī kabhī to harīfāna koī ātish-e-sañg
faroġh pā ke libās-e-nagīñ meñ hotī hai
Top Urdushayar.com