baiTho jī kā bojh utāreñ donoñ vaqt yahīñ milte haiñ
duur duur se aane vaale raste kahīñ kahīñ milte haiñ
vahm bhī ho jaatā hai dil ko lekin is meñ ta.ajjub kyā hai
aise dasht ki jin meñ sham.eñ aap hī aap jalīñ, milte haiñ
gahre surḳh gulāb kā andhā bulbul saañp ko kyā dekhegā
paas hī ugtī nāg-phanī thī saare phuul vahīñ milte haiñ
kaan meñ motī haath meñ kañgan phuul chamelī kā juuḌe meñ
kyā kyā rañg jamāne vaale āñkheñ jin se basīñ, milte haiñ
tere jism kī dhaar kaTār sī aañkh ke pardoñ meñ taḌpī thī
ḳhākistar āñkhoñ meñ kyā kyā un lamhoñ ke nagīñ milte haiñ
tum ko jhūTā Thahrā saktā kis meñ itnā jas hai lekin
aise log bahut hote haiñ va.ada kar ke nahīñ milte haiñ
kohna sarā.e kī raushniyoñ ne kah hī diyā dīvaT ke diyoñ se
aao aao Thahro Thahro mehmāñ roz nahīñ milte haiñ
sar kā saudā paañv kī gardish jo bhī sabab ho na milne kā
tum to sāhab kyā milte ho milte haiñ to hamīñ milte haiñ