Naz Qadri

KHush-rang aasman uDa le gai hawa

Naz Qadri

Muzaffarpur, Bihar, India

1940-2019
ḳhush-rañg āsmān uḌā le ga.ī havā
ḳhushbū kā sā.ebān uḌā le ga.ī havā
kāñTe ulajh ke dāman-e-hastī se rah ga.e
phūloñ kī dāstān uḌā le ga.ī havā
āñkhoñ meñ ab chamakte dar-o-bām haiñ kahāñ
ḳhvāboñ kā vo makān uḌā le ga.ī havā
dil ke ta.alluqāt kī ḳhushbū kahīñ nahīñ
marbūt ḳhāndān uḌā le ga.ī havā
be-samt zindagī mirī be-samt hī rahī
manzil kā har nishān uḌā le ga.ī havā
qismat se aa ga.e the ham ahl-e-sitam ke haath
vo tiir vo kamān uḌā le ga.ī havā
tūfāñ se kheltī huī kashtī guzar ga.ī
har chand bādbān uḌā le ga.ī havā
zāhir huā jo matl.a-e-dil par yaqīñ kā nuur
pal bhar meñ har gumān uḌā le ga.ī havā
badlā thā jin se 'nāz' mirā lahja-e-ġhazal
vo tarz vo bayān uḌā le ga.ī havā
Top Urdushayar.com