Aziz Hamid Madni

ek hi shahr mein rahte baste kale koson dur raha

Aziz Hamid Madni

Raipur, Chhattisgarh, India

1922-1991
ek hī shahr meñ rahte baste kaale kosoñ duur rahā
is ġham se ham aur bhī haare vo bhī to majbūr rahā
kaal thā ashkoñ kā ā.ankhoñ meñ lekin terī yaad na pūchh
kyā kyā motī maiñ bhī farāham karne par majbūr rahā
vo aur itnā pareshāñ-ḳhātir rabt-e-ġhair kī baat nahīñ
lekin us ke chup rahne se dil ko vahm zarūr rahā
ham aaise nākām-e-vafā ke ġhol meñ aakar baiThe ho
duniyā kī taqdīr badalnā jin kā ik dastūr rahā
husn kī shart-e-vafā jo Thahrī tesha o sañg-e-girāñ kī baat
ham hoñ yā farhād ho āḳhir āshiq to mazdūr rahā
vaqt kī baat hai yaad aa jaanā lekin us kī baat na pūchh
yuuñ to lākhoñ bāteñ niklīñ terā hī mazkūr rahā
ai mere ḳhurshīd-e-shabī kyā vahm-e-tulū-o-ġhurūb tujhe
ek tirī gardish aisī thī ḳhāna-e-dil be-nūr rahā
ishq bhī mohr-ba-lab guzrā hai duniyā kī kyā jur.at thī
us kī nīchī nazroñ meñ bhī aisā saḳht ġhurūr rahā
ham se us kā rabt-e-junūñ thā ek hañsī kī baat sī thī
ham ko āḳhir kyuuñ ye ḳhabt-e-sa.ī-e-nā-mashkūr rahā
sub.h se chalte chalte āḳhir shaam huī āvāra-e-dil
ab maiñ kis manzil meñ pahuñchā ab ghar kitnī duur rahā
Top Urdushayar.com