ai shahr-e-ḳhirad kī taaza havā vahshat kā koī in.aam chale
kuchh harf-e-malāmat aur chaleñ kuchh vird-e-zabāñ dushnām chale
ik garmī-e-jast-e-farāsat hai ik vahshat-e-pā-e-mohabbat hai
jis paañv kī tāqat jī meñ ho vo saath mire do-gām chale
aaise ġham-e-tūfāñ meñ akasr ik zid ko ik zid kaaT ga.ī
shāyad ki nahañg-āsār havā kuchh ab ke harīf-e-dām chale
jo baat sukūt-e-lab tak hai us se na ulajh ai jazba-e-dil
kuchh arz-e-hunar kī laag rahe kuchh mere junūñ kā kaam chale
ai vādi-e-ġham ye mauj-e-havā ik sāz-e-rāh-e-sapārāñ hai
ruktī huī rau ḳhvāboñ kī koī yā sub.h chale yā shaam chale
tujh ko to havāoñ kī zad meñ kuchh raat ga.e tak jalnā hai
ik ham ki tire jalte jalte bastī se charāġh-e-shām chale
jo naqsh-e-kitāb-e-shātir hai us chaal se āḳhir kyā chaliye
khele to zarā dushvār chale haare bhī to kuchh din naam chale
kyā naam batā.eñ ham us kā nāmoñ kī bahut rusvā.ī hai
kuchh ab ke bahār-e-tāza-nafas ik daur-e-vafā be-nām chale
ye aap kahāñ 'madnī'-sāhib kuchh ḳhair to hai mai-ḳhāna hai
kyā koī kitāb-e-mai dekhī do ek to daur-e-jām chale