Aziz Hamid Madni

narmi hawa ki mauj-e-tarab-KHez abhi se hai

Aziz Hamid Madni

Raipur, Chhattisgarh, India

1922-1991
narmī havā kī mauj-e-tarab-ḳhez abhī se hai
ai ham-safīr ātish-e-gul tez abhī se hai
ik tāza-tar savād-e-mohabbat meñ le chalī
vo bū-e-pairahan ki junūñ-ḳhez abhī se hai
ik ḳhvāb-e-tā.irān-e-bahārāñ hai us kī aañkh
ta.abīr-e-abr-o-bād se labrez abhī se hai
shab-tāb abhī se us kī qabāoñ ke rañg haiñ
ik dāstāñ jabīn-e-guhar-rez abhī se hai
guzrī hai ek rau mizha-e-ḳhvāb-nāk kī
dil meñ lahū kā rañg bahut tez abhī se hai
ā.īna le ke kho ga.ī umr-e-navā-ḳhirām
tāza-e-ruḳhī kā moḌ balā-ḳhez abhī se hai
mub.ham se ek ḳhvāb kī ta.abīr kā hai shauq
nīndoñ meñ bādaloñ kā safar tez abhī se hai
ik taaza mohr-e-lab se junūñ māñgtā hai naqsh
jumbish laboñ kī silsila-āmez abhī se hai
shāyad ki mahramāna bhī uTThe tirī nigāh
vaise tirī nigāh dil-āvez abhī se hai
Top Urdushayar.com