Aziz Hamid Madni

KHatm hui shab-e-wafa KHwab ke silsile gae

Aziz Hamid Madni

Raipur, Chhattisgarh, India

1922-1991
ḳhatm huī shab-e-vafā ḳhvāb ke silsile ga.e
jis dar-e-nīm-bāz ke pesh the marhale ga.e
jo rag-e-abr-o-bād se tā-ba-rag-e-junūñ raheñ
ishq kī vo hikāyateñ husn ke vo gile ga.e
shukr-o-sipās kā maza de hī gayā sukūt-e-yār
vasl-o-firāq se alag dard ke hausle ga.e
ik mire ham-kanār kī mujh se qarīb aa ke raat
ḳhema-e-dard ho ga.ī qurb ke valvale ga.e
dasht meñ qaht-e-āb se hijrat-e-tā.irāñ ke ba.ad
sair-pasand-o-tar-nafas abr ke qāfile ga.e
ai ye fasūn-e-dilbarī tāza-ruḳh-o-siyāh-chashm
manzil-e-qurb bhī ga.ī tujh se na fāsle ga.e
niiñd meñ mahvashān-e-shahr bosa-e-āshiqāñ kī ḳhair
shab-ba-havā-e-narm-sair sub.h huī sile ga.e
ai ruḳh-e-tāza-jahāñ raat to ab bhī hai garāñ
sham-e-hazār-rañg tak yuuñ tire silsile ga.e
dāman-e-dil kī oT se ek shab-e-firāq kyā
daur-e-taġhayyur-e-jahāñ sab tire qāfile ga.e
Top Urdushayar.com