nāvak-e-tāza dil par maarā jañg purānī jaarī kī
aaj havā ne zaḳhm-e-kuhan meñ Duub ke tāza-kārī kī
jis kyārī meñ phuul khile the nāg-phanī sī lagtī hai
mausam-e-gul ne jaate jaate dekhā kyā dushvārī kī
ek taraf rū-e-jānāñ thā jaltī aañkh meñ ek taraf
sayyāroñ kī raakh meñ miltī raat thī ik bedārī kī
kū-e-bayāñ kī vīrānī se merā bhī jī baiTh gayā
muñh moḌe āvāz khaḌī hai sāz-e-rāh-sipārī kī