salīb o daar ke qisse raqam hote hī rahte haiñ
qalam kī jumbihsoñ par sar qalam hote hī rahte haiñ
ye shāḳh-e-gul hai ā.īn-e-numū se aap vāqif haiñ
samajhtī hai ki mausam ke sitam hote hī rahte haiñ
kabhī terī kabhī dast-e-junūñ kī baat chaltī hai
ye afsāne to zulf-e-ḳham-ba-ḳham hote hī rahte haiñ
tavajjoh un kī ab ai sākinān-e-shahr tum par hai
ham aisoñ par bahut un ke karam hote hī rahte haiñ
tire band-e-qabā se rishta-e-anfās-e-daurāñ tak
kuchh uqde nāḳhunoñ ko bhī baham hote hī rahte haiñ
hujūm-e-lāla-o-nasrīñ ho yā lab-hā-e-shīrīñ hoñ
mirī mauj-e-nafas se tāza-dam hote hī rahte haiñ
mirā chāk-e-girebāñ chāk-e-dil se milne vaalā hai
magar ye hādse bhī besh o kam hote hī rahte haiñ