Aziz Hamid Madni

surat-e-zanjir mauj-e-KHun mein ek aahang hai

Aziz Hamid Madni

Raipur, Chhattisgarh, India

1922-1991
sūrat-e-zanjīr mauj-e-ḳhūñ meñ ik āhañg hai
āgahī kī had pe ik ḳhvāb-e-junūñ kī jañg hai
jaane kin chehroñ kī lau thī jaane kis manzar kī aag
niiñd kā resham dhuāñ hai ḳhvāb sho.ala-rañg hai
ik junūñ-ḳhāne meñ ḳhud ko DhūñDhtā hai aadmī
ḳhud-tavāfī meñ bhī ḳhud se saiñkaḌoñ farsañg hai
kirm-ḳhurda kashtiyāñ bīnā.ī kī haiñ tah-nashīñ
nam havā se ustaḳhvānoñ meñ utartā rañg hai
aag ko gulzār kar de us duā kā vaqt hai
varna ḳhū-e-ādamiyat aadmī par tañg hai
bū-e-gul ruḳhsat huī shāyad ye ho ḳhatm-e-bahār
TūTtī lai meñ bikhartī saut-e-shab-āhañg hai
ek markaz par zideñ yakjā haiñ aur gardish meñ haiñ
ye zamāne kā taġhayyur ālam-e-nairañg hai
Top Urdushayar.com