Aziz Hamid Madni

meri aankhen gawah-e-talat-e-atish huin jal kar

Aziz Hamid Madni

Raipur, Chhattisgarh, India

1922-1991
mirī āñkheñ gavāh-e-tal.at-e-ātish huiiñ jal kar
pahāḌoñ par chamaktī bijliyāñ niklīñ udhar chal kar
zabāñ kā zā.iqa bigḌā huā hai mai pilā saaqī
sumūm-e-dasht ne sab rakh diye kām-o-dahan tal kar
rumūz-e-zindagī sīkhe haiñ mere shauq-e-vahshat ne
ka.ī sāhib-nazar zindāniyoñ ke biich meñ pal kar
ye kis zauq-e-numū ko aaj dohrāne bahār aa.ī
lahū ham sarfaroshoñ kā jabīn-e-nāz par mal kar
vo jin kī ḳhū se kal ik abr-e-tar ḳhvāb-e-mohabbat thā
unhī ko rakh diyā phir kyuuñ khule hāthoñ se mal-dal kar
ruḳh-e-daurāñ pe hai ik niil sā karb-e-taġhayyur se
varaq tāñbe kā kho detā hai rañgat aag meñ gal kar
harī sham.eñ sī añgūroñ kī beloñ meñ jo chamkīñ thiiñ
vahī ab surḳh rañgoñ meñ jalī haiñ jaam meñ Dhal kar
vahī ik rū-e-ātish-rañg hai halkī sī dastak hai
samundar paar kī mauj-e-havā jaatī nahīñ Tal kar
jab aa.ī sā.at-e-be-tāb terī be-libāsī kī
to ā.īne meñ jitne zāviye the rah ga.e jal kar
mahak meñ zahr kī ik lahr bhī ḳhvābīda rahtī hai
zideñ aapas meñ Takrātī haiñ farq-e-mār-o-sandal kar
shab-e-afsāna-ḳhvāñ to shahr kī āḳhir huī 'madnī'
kahāñ jaate ho tum nikle hue yuuñ niiñd meñ chal kar
Top Urdushayar.com