na fāsle koī nikle na qurbateñ niklīñ
vafā ke naam se kyā kyā siyāsateñ niklīñ
khulī hai vahshat-e-ālam pe aaj kākul-e-yār
kuchh aur daur-e-ḳhirad terī nisbateñ niklīñ
hazār hāthoñ ke paimān-e-nau kā markaz hai
havā ke haath meñ nā-dīd tāqateñ niklīñ
sipāh-e-ishq jahāñ ḳhandaqoñ meñ jaltī thī
vo moḌ kaaT ke āḳhir mohabbateñ niklīñ
fazā-e-tāza-nafas dilbarī kī aa.ī hai
na.ī na.ī ġham-e-dil kī masāfateñ niklīñ
sharār-e-mahr-o-nam-e-abr ke taġhayyur tak
visāl-e-dost meñ kyā kyā nazākateñ niklīñ
vahī ki rashk-e-raqībāñ se tīra-tar hai jo zulf
kal ittifāq se us kī hikāyateñ niklīñ
vo harf-e-shak hai ki ahl-e-yaqīñ nahīñ samjhe
dimāġh-e-kufr se kyā kyā haqīqateñ niklīñ
kamand-e-sāriq o mār-e-siyāh meñ āḳhir
ye kis kā haath thā ye kis kī hikmateñ niklīñ
visāl-o-hijr se kyā ishq se sambhal na sakīñ
tirī nigāh meñ aisī nadāmateñ niklīñ
nigār-ḳhāne ke naqsh-o-nigār kuchh bhī na the
junūñ kī aañkh meñ ġhaltīda sūrateñ niklīñ