nisār yuuñ to huā tujh pe naqd-e-jāñ kyā kyā
magar rahā bhī tirā husn sargirāñ kyā kyā
alag alag bhī bahut dil-fareb niklegī
kaheñge log abhī terī dāstāñ kyā kyā
hisāb-e-mai hai harīfān-e-bāda-paimā se
uThegā ab ke rag-e-tāk se dhuāñ kyā kyā
nafs kī rau meñ koī pech-o-tāb dariyā thā
gayā hai vādī-e-jāñ se ravāñ-davāñ kyā kyā
vafā kī raat koī ittifāq thī lekin
pukārte haiñ musāfir ko sā.ebāñ kyā kyā
hazār sham.eñ jalā.e hue khaḌī hai ḳhirad
magar fazā meñ añdherā hai darmiyāñ kyā kyā