Aziz Hamid Madni

ghalat-bayan ye faza mahr o kin darogh darogh

Aziz Hamid Madni

Raipur, Chhattisgarh, India

1922-1991
ġhalat-bayāñ ye fazā mahr o kiiñ daroġh daroġh
sharāb laao ġham-e-kufr-o-dīñ daroġh daroġh
hazār naḳhl-e-gumāñ haiñ abhī numūd-āsār
azal ke din se hai kisht-e-yaqīñ daroġh daroġh
hadīs-e-rashk-e-raqībāñ huī hai jis kī nazar
maiñ aur us kī lagan ham-nashīñ daroġh daroġh
ḳhud apnī mastī-e-pinhāñ se haath aatā hai
shikār-e-nāfa-e-āhū-e-chīñ daroġh daroġh
maiñ aur shikva-e-sarā.ī-e-zaḳhm-e-be-sababī
tū aur dashna tah-e-āstīñ daroġh daroġh
zarūr koī nazar hai harīf-e-ḳhud-nigarī
vo aur bazm meñ chīñ-bar-jabīñ daroġh daroġh
malūl kuchh ġham-e-bālīdgī se hai varna
sirisht-e-gul ko malāl-e-zamīñ daroġh daroġh
sadā.eñ diiñ tujhe ḳhalq-e-ḳhudā ne maqtal se
tirī galī meñ ḳhabar tak nahīñ daroġh daroġh
Top Urdushayar.com