Aziz Hamid Madni

haram ka aaina barson se dhundla bhi hai hairan bhi

Aziz Hamid Madni

Raipur, Chhattisgarh, India

1922-1991
haram kā ā.īna barsoñ se dhuñdlā bhī hai hairāñ bhī
ik afsūn-e-barahman hai ki paidā bhī hai pinhāñ bhī
na jā ai nāḳhudā dariyā kī āhista-ḳhirāmī par
isī dariyā meñ ḳhvābīda hai mauj-e-tund jaulāñ bhī
kamāl-e-jāñ-nisārī ho ga.ī hai ḳhaak parvāna
use iksīr bhī kahte haiñ aur ḳhāk-e-pareshāñ bhī
vidā-e-shab bhī hai aur sham.a par ik bāñkpan bhī hai
hadīs-e-shauq bhī hai qissa-e-umr-e-gurezāñ bhī
na aa.ī yaad terī ye bhī mausam kā taġhayyur thā
ye kusht-e-shauq thī parvarda-hā-e-bād-o-bārāñ bhī
ye duniyā hai to kyā ai ham-nafas tafsīr-e-ġham kiije
vahī ādāb-e-mahfil bhī vahī ādāb-e-zindāñ bhī
shuā-e-mehr hai yā iltizām-e-zaḳhm-o-marham hai
ye dāġh-e-lāla bhī hai sho.la-e-la.al-e-badaḳhshāñ bhī
Top Urdushayar.com