sambhal na paa.e to taqsīr-e-vāqa.ī bhī nahīñ
har ik pe sahal kuchh ādāb-e-mai-kashī bhī nahīñ
idhar udhar se hadīs-e-ġham-e-jahāñ kah kar
tirī hī baat kī aur terī baat kī bhī nahīñ
vafā-e-vāda pe dil nukta-chīñ hai vo ḳhāmosh
hadīs-e-mehr-o-vafā aaj guftanī bhī nahīñ
bikhar ke husn-e-jahāñ kā nizām kyā hogā
ye barhamī tirī zulfoñ kī barhamī bhī nahīñ
shikast-e-sāġhar-o-mīnā ko ḳhaak rotā maiñ
girāñ abhī mire dil kī shikastagī bhī nahīñ
hazār shukr ki be-ḳhvāb hai sahar ke liye
vo chashm-e-nāz ki jo jagtoñ meñ thī bhī nahīñ
ye zindagī hī talavvun-mizāj hai ai dost
tamām tark-e-vafā terī be-ruḳhī bhī nahīñ
ta.alluqāt-e-zamāna kī ik kaḌī ke sivā
kuchh aur ye tirā paimān-e-dostī bhī nahīñ
karam kī vajah na thī be-sabab ḳhafā bhī hai vo
mizāj-e-husn se ye baat duur thī bhī nahīñ