firāq se bhī ga.e ham visāl se bhī ga.e
subuk hue haiñ to aish-e-malāl se bhī ga.e
jo but-kade meñ the vo sāhibān-e-kashf-o-kamāl
haram meñ aa.e to kashf-o-kamāl se bhī ga.e
usī nigāh kī narmī se Dagmagā.e qadam
usī nigāh ke tevar sambhāl se bhī ga.e
ġham-e-hayāt o ġham-e-dost kī kashākash meñ
ham aise log to rañj-o-malāl se bhī ga.e
gul o samar kā to ronā alag rahā lekin
ye ġham ki farq-e-harām-o-halāl se bhī ga.e
vo log jin se tirī bazm meñ the hañgāme
ga.e to kyā tirī bazm-e-ḳhayāl se bhī ga.e
ham aise kaun the lekin qafas kī ye duniyā
ki par-shikastoñ meñ apnī misāl se bhī ga.e
charāġh-e-bazm abhī jān-e-anjuman na bujhā
ki ye bujhā to tire ḳhatt-o-ḳhāl se bhī ga.e