kyā hue bād-e-bayābāñ ke pukāre hue log
chāk-dar-chāk garebāñ ko sañvāre hue log
ḳhuuñ huā dil ki pashemān-e-sadāqat hai vafā
ḳhush huā jī ki chalo aaj tumhāre hue log
ye bhī kyā rañg hai ai nargis-e-ḳhvāb-ālūda
shahr meñ sab tire jaadū ke haiñ maare hue log
ḳhatt-e-māzūlī-e-arbāb-e-sitam khīñch ga.e
ye rasan-basta salīboñ se utāre hue log
vaqt hī vo ḳhat-e-fāsil hai ki ai ham-nafaso
duur hai mauj-e-balā aur kināre hue log
ai harīfān-e-ġham-e-gardish-e-ayyām aao
ek hī ġhol ke ham log haiñ haare hue log
un ko ai narm havā ḳhvāb-e-junūñ se na jagā
raat mai-ḳhāne kī aa.e haiñ guzāre hue log