taaza havā bahār kī dil kā malāl le ga.ī
pā-e-junūñ se halqa-e-gardish-e-hāl le ga.ī
jur.at-e-shauq ke sivā ḳhalvatiyān-e-ḳhās ko
ik tire ġham kī āgahī tā-ba-savāl le ga.ī
shola-e-dil bujhā bujhā ḳhāk-e-zabāñ uḌī uḌī
dasht-e-hazār-dām se mauj-e-ḳhayāl le ga.ī
raat kī raat bū-e-gul kūza-e-gul meñ bas ga.ī
rañg-e-hazār mai-kada rūh-e-sifāl le ga.ī
tez havā kī chaap se tīra-banoñ meñ lau uThī
rūh-e-taġhayyur-e-jahāñ aag se faal le ga.ī
nāfa-e-āhu-e-tatār zaḳhm-e-numūd kā shikār
dasht se zindagī kī rau ek misāl le ga.ī
hijr o visāl o nek o bad gardish-e-sad-hazār-o-sad
tujh ko kahāñ kahāñ mire sarv-e-kamāl le ga.ī
narm havā pe yuuñ khule kuchh tire pairahan ke raaz
sab tire jism-e-nāz ke rāz-e-visāl le ga.ī
mātam-e-marg-e-qais kī kis se banegī dāstāñ
nauha-e-be-zabāñ koī chashm-e-ġhazāl le ga.ī