Aziz Hamid Madni

likhi hui jo tabahi hai us se kya jata

Aziz Hamid Madni

Raipur, Chhattisgarh, India

1922-1991
likhī huī jo tabāhī hai us se kyā jaatā
havā ke ruḳh pe magar kuchh to nāḳhudā jaatā
jo baat dil meñ thī us se nahīñ kahī ham ne
vafā ke naam se vo bhī fareb khā jaatā
kashīd-e-mai pe hai kaisā fasād hākim-e-shahr
tirī girah se hai kyā banda-e-ḳhudā jaatā
ḳhudā kā shukr hai tū ne bhī maan lī mirī baat
rafū purāne dukhoñ par nahīñ kiyā jaatā
misāl-e-barq jo ḳhvāb-e-junūñ meñ chamkī thī
us āgahī ke ta.āqub meñ huuñ chalā jaatā
libās-e-tāza ke ḳhvāhāñ hue haiñ zarra o sañg
ik aa.ina hai koī duur se dikhā jaatā
ajab tamāsha-e-sahrā hai chāk-e-mahmil par
ġhubār-e-qais hai parda koī girā jaatā
jo aag bujh na sakegī usī ke dāman meñ
har ek shahr hai ījād kā basā jaatā
Top Urdushayar.com