god meñ zarrāt kī sar apnā rakh kar so gayā
pyaas kī dahlīz par dariyā kā manzar so gayā
kuchh nazar aatā nahīñ ā.īna-e-ayyām meñ
aks-e-hairat jaag uThā ḳhvāboñ kā paikar so gayā
dard ko darmāñ banāne kā hunar rakhtā thā vo
oḌh kar jo vaqt kī ḳhush-rañg chādar so gayā
jis kā rishta thā jahān-e-āgahī ke karb se
vo payām-e-amn kā haamī kabūtar ho gayā
ham hī ġham-ḳhvār-e-tamannā the na so.e sub.h tak
jab dar-o-dīvār ko niiñd aa ga.ī ghar so gayā
ḳhaak uḌtī hai sar-e-sahn-e-tamannā chaar sū
dīdanī jo kuchh bhī thā manzar-ba-manzar so gayā
ahd-e-nau ne tābish-e-husn-e-rifāqat chhīn lī
qarya-e-jāñ meñ mohabbat kā samundar so gayā
mausam-e-saffāk ne vo sub.h raushan kī hai 'nāz'
qatra-e-shabnam sar-e-shāḳh-e-gul-e-tar so gayā