diloñ kī uqda-kushā.ī kā vaqt hai ki nahīñ
ye aadmī kī ḳhudā.ī kā vaqt hai ki nahīñ
kaho sitāra-shanāso falak kā haal kaho
ruḳhoñ se parda-kushā.ī kā vaqt hai ki nahīñ
havā kī narm-ravī se javāñ huā hai koī
fareb-e-tañg-qabā.ī kā vaqt hai ki nahīñ
ḳhalal-pazīr huā rabt-e-mehr-o-māh meñ vaqt
batā ye tujh se judā.ī kā vaqt hai ki nahīñ
alag siyāsat-e-darbāñ se dil meñ hai ik baat
ye vaqt merī rasā.ī kā vaqt hai ki nahīñ
diloñ ko markaz-e-asrār kar ga.ī jo nigah
usī nigah kī gadā.ī kā vaqt hai ki nahīñ