ik ḳhvāb-e-ātishīñ kā vo mahram sā rah gayā
dīvār-o-dar meñ sho.ala-e-barham sā rah gayā
sher-e-vatan ke pyāle pe thiiñ kal ziyāfateñ
aayā jo tā-ba-lab to faqat sam sā rah gayā
maanā vafā barā.e-vafā ittifāq thī
tum sā rahā koī na koī ham sā rah gayā
ik lā-ta.alluqī kī fazā darmiyāñ rahī
jab do diloñ meñ farq bahut kam sā rah gayā
us sarv-qad kī tāb-o-mulā.em-ruḳhī kā raaz
isyāñ kī shab meñ dīda-e-pur-nam sā rah gayā
āḳhir huī bahār magar rañg-e-gul kā ḳhvāb
dil meñ duā nigāh meñ shabnam sā rah gayā
ik us ke rañg-e-ruḳh kī junūñ-sāz chhūT se
is zindagī meñ ḳhvāb kā aalam sā rah gayā