vo saa.at sūrat-e-chaqmāq jis se lau nikaltī hai
talāsh-e-ādmī ke zāviye kyā kyā badaltī hai
kabhī ik lau se shashdar hai kabhī ik zau se hairāñ hai
zamīñ kis inkishāf-e-nār se yārab pighaltī hai
taġhayyur kī sadī hai ātishīñ ḳhvāboñ kī paikāreñ
rasad-gāhoñ ke ā.īnoñ meñ ik ta.abīr Dhaltī hai
nazar ko ik ufuq tāza-e-ruḳhī se terī miltā hai
vafā us fāsle kā raaz pā kar ḳhud sambhaltī hai
nigāh-e-nāz sab ramz-e-mohabbat kah ga.ī āḳhir
ḳhirad kī parda-dārī kyā kaf-e-afsos maltī hai
lahū meñ aap jal uThtī hai koī sham-e-ḳhalvat sī
visāl-andāz us ke ḳhvāb meñ jab raat Dhaltī hai
rivāyat kī qanāteñ jis havā se jalne vaalī haiñ
savād-e-asia meñ vo havā ab tez chaltī hai
varaq ik dhund kā taaza taġhayyur jab ulaTtā hai
tarāshīda ruḳh-e-almās sī ik lau nikaltī hai