Aziz Hamid Madni

wahi dagh-e-lala ki baat hai ki ba-nam-e-husn udhar gai

Aziz Hamid Madni

Raipur, Chhattisgarh, India

1922-1991
vahī dāġh-e-lāla kī baat hai ki ba-nām-e-husn udhar ga.ī
koī kyā kahe ki kahāñ kahāñ tire ḳhāl-e-ruḳh kī ḳhabar ga.ī
koī haath dashna-e-jāñ-sitāñ koī haath marham-e-parniyāñ
ye to haath haath kī baat hai koī vaqt pā ke sañvar ga.ī
vahī ek suud o ziyāñ kā ġham jo mizāj-e-ishq se duur thā
vo tirī zabāñ pe bhī aa gayā to lagan hī jī kī bikhar ga.ī
kisī ek silsila-e-vafā kī matā.a zulf-e-dotā nahīñ
koī pech-o-tāb-e-havā mile ki vo zulf tā-ba-kamar ga.ī
ye shikāyat-e-dar-o-bām kyā ye rabāt-e-kohna kī raat kyā
koī be-charāġh shab-e-vafā tire shahr meñ bhī guzar ga.ī
isī zindagī ke hazār ufuq isī zindagī ke hazār ruḳh
isī ik ḳhayāl kī rau thī vo jo tirī jabīñ pe bikhar ga.ī
vo hazār shauq kī laġhzisheñ magar ek lazzat-e-nārasī
mirī āshnā-e-tarab nazar tire ruḳh pe aa ke Thahar ga.ī
kabhī ātish-e-ḳhas-o-ḳhār se bhī guloñ ko zauq-e-numū milā
kabhī shāḳh-e-gul se lahak uThī vo sināñ jo tā-ba-jigar ga.ī
vo zabān-e-sarmad-e-be-dalīl vo ḳharāsh-e-ḳhanjar-e-hukmarāñ
koī imtihān-e-dalīl kyā ki diloñ meñ baat utar ga.ī
vo ġharīb-e-shahr kahe bhī kyā jo tirī zabāñ se hai be-ḳhabar
magar ek rāh-e-suḳhan bhī hai ki ye zindagī hai jidhar ga.ī
Top Urdushayar.com