is guftugū se yuuñ to koī mudda.ā nahīñ
dil ke sivā harīf koī dūsrā nahīñ
āñhkeñ taras ga.iiñ tumheñ dekhe hue magar
ghar qābil-e-ziyāfat-e-mehmāñ rahā nahīñ
nāqūs koī bahr kī tah meñ hai na.ara-zan
sāhil kī ye sadā to koī nāḳhudā nahīñ
maanā ki zindagī meñ hai zid kā bhī ek maqām
tum aadmī ho baat to sun lo ḳhudā nahīñ
lutf-e-suḳhan yahī thā ki ḳhud tum bhī kuchh kaho
ye vahm hai ki ab koī gosh-e-vafā nahīñ
merī vafā barā.e vafā ittifāq thī
mere sivā kisī pe ye afsūñ chalā nahīñ
us kī nazar taġhayyur-e-hālāt par ga.ī
koī mizāj-dān-e-mohabbat milā nahīñ