Aziz Hamid Madni

zanjir-e-pa se aahan-e-shamshir hai talab

Aziz Hamid Madni

Raipur, Chhattisgarh, India

1922-1991
zanjīr-e-pā se āhan-e-shamshīr hai talab
shāyad tirī galī meñ na pahuñche ye shor ab
āḳhir jhalak uThī vo garebāñ ke chaak se
jis intizār-e-sub.h meñ guzrī thī merī shab
yaad aa.ī dil ko tere dar-e-nīm-vā kī raat
rukne lage qadam jo sar-e-rāh be-sabab
ye shān-e-dilbarī hai ki vo jab bhī mil gayā
paayā mizāj-e-dost ko āsūda-e-tarab
is tāza-dam havā meñ mire māh-e-nīm-māh
us baam se judā na kabhī ho tulū-e-shab
āñkheñ to khol daur-e-taġhayyur hai ham-nashīñ
kuchh khiḌkiyāñ to khol ga.ī hai havā-e-shab
chalne ko hai havā-e-gul-o-lāla kī jagah
ik naqb sī lagātī huī sarsar-e-aqab
āñkhoñ pe ek jādū-e-zulmat sā chhā gayā
haul-e-āfrīñ hayyūloñ ke jumbish meñ aa.e lab
kāzib sahāfatoñ kī bujhī raakh ke tale
jhulsā huā milegā varaq-dar-varaq adab
duniyā badal ga.ī hai hisāb aur ho ga.e
ramz-e-taġhayyur-e-ruḳh-e-ālam hue haiñ sab
sadiyoñ meñ jā ke bantā hai āḳhir mizāj-e-dahr
'madnī' koī taġhayyur-e-ālam hai be-sabab
Top Urdushayar.com