sach hai jab bhī koī harf us kī zabāñ se niklā
zahr meñ Duubā huā tiir kamāñ se niklā
duur tak phail gayā husn-e-ma.ānī kā tilism
ḳhuub mafhūm mire lafz-o-bayāñ se niklā
maiñ tire tark-e-ta.alluq se bas itnā samjhā
ek patthar thā jo shīshe ke makāñ se niklā
ik haqīqat pas-e-afsāna thī raushan raushan
vo jo ka.abe ko gayā shahr-e-butāñ se niklā
us taraf daar kī manzil thī idhar kūcha-e-yār
mujh ko jaanā thā kahāñ aur kahāñ se niklā
manzil-e-zāt milī ruuh huī āsūda
silsila tār-e-nafas kā rag-e-jāñ se niklā
bas ki thā pesh-e-nazar husn-e-azal kā jalva
'nāz' har kashmakash-e-sūd-o-ziyāñ se niklā