har ek samt udāsī kī titliyāñ jāgīñ
tulū-e-shām se pahle siyāhiyāñ jāgīñ
safar meñ dhuup kī lazzat pas-e-ġhubār huī
ghane daraḳhtoñ ke saa.e meñ garmiyāñ jāgīñ
dayār-e-dil meñ sadāoñ kā ā.īna TuuTā
navāh-e-jāñ meñ ta.alluq kī kirchiyāñ jāgīñ
kahāñ kahāñ nahīñ dī ham ne raat bhar dastak
na koī baab hī chauñkā na khiḌkiyāñ jāgīñ
diloñ ke biich to haa.il thā barf kā mausam
na jism sulge na ḳhvāhish kī garmiyāñ jāgīñ
lahū meñ lams ke sho.ale buland hone lage
badan meñ qurb kī pur-shor āñdhiyāñ jāgīñ
kisī se kam na huā 'nāz' fāsla ġham kā
ki log jitnā chale utnī dūriyāñ jāgīñ