na vo shu.ūr kī lau hai na vo nazar kā charāġh
bujhā paḌā hai baḌī der se hunar kā charāġh
añdherī raat kā dil chīrtā ho jaise koī
chalā hai le ke hathelī pe koī sar kā charāġh
usī kā nuur virāsat hai ibn-e-ādam kī
vo zindagī jise kahte haiñ ham sahar kā charāġh
maiñ apne harf-e-malāmat kā ḳhud shikār huā
ki ghar meñ aag lagī jis se thā vo ghar kā charāġh
ik aane vaale kā hai kab se intizār use
kaho havā se bujhā.e na us ke dar kā charāġh
jo qalb-o-jāñ meñ na soz-e-ḳhulūs ho ai 'nāz'
duā ke taaq meñ kaise jale asar kā charāġh