ḳhizāñ se joḌ ke rishta bahār kā koī
ḳhushī nahīñ na sahī ġham to de gayā koī
na shukriya na shikāyat ye rabt hai kaisā
kise nasīb thī fursat ki sochtā koī
na koī dost na dushman to phir ye uljhan kyuuñ
tamām umr isī karb meñ rahā koī
ajiib daur se vābastagī rahī merī
ki mil sakā na mujhe apnā ham-navā koī
haqīqatoñ ke bhī ruḳh se naqāb uTh jaatā
kabhī jo apne garebāñ meñ jhāñktā koī
guzar gayā to harīfoñ ke vaar se bach kar
ḳhud apnī teġh-e-anā se na bach sakā koī
zabāñ se kuchh na kahā vo samajh gayā lekin
mirī nigāh meñ thā harf-e-iltijā koī