ye kyā huā hai raat ko kyūñkar niDhāl hai
merī hī tarah chāñd falak par niDhāl hai
dīvār o dar ne rañgoñ se dāman chhuḌā liyā
yak-rañgi-e-sukūt se kyuuñ ghar niDhāl hai
us se hazār dariyā lipaTne ko muntazir
phir kis ke intizār meñ sāgar niDhāl hai
bāhar nikal ke dekh tirī aarzū meñ koī
kab se paḌā huā tire dar par niDhāl hai
ab kaun pūchhtā hai use is dayār meñ
sajda-guzār koī nahīñ dar niDhāl hai
'sānī' hamārā haal yuuñ pahle na thā kabhī
bāhar hai ḳhast ḳhast to andar niDhāl hai