Mahender Kumar Sani

use humne kabhi dekha nahin hai

Mahender Kumar Sani

Faizabad, Uttar pradesh, India

1984
use ham ne kabhī dekhā nahīñ hai
vo ham se duur hai aisā nahīñ hai
yaqīnan sochtā hogā vo mujh ko
use maiñ ne abhī sochā nahīñ hai
jidhar jaatā huuñ duniyā Toktī hai
idhar kā rāsta terā nahīñ hai
safar āzād hone ke liye hai
mujhe manzil kā kuchh dhokā nahīñ hai
maiñ apnī yātrā par jā rahā huuñ
mujhe ab lauT kar aanā nahīñ hai
hue āzād jab jaanā ye 'sānī'
mafar kā koī bhī rasta nahīñ hai
Top Urdushayar.com