sadā-o-ḳhāmshī ke darmiyāñ Thahartā hai
tirā ḳhayāl suḳhan meñ kahāñ Thahartā hai
hamārī qaid hamāre isī ḳhayāl se hai
hamāre rāste meñ ik makāñ Thahartā hai
ravish ravish jo hai paidā nazar ke sāmne vo
zarā sā dekhne par sab nihāñ Thahartā hai
agar vo vasl kā lamha hameñ mayassar ho
to saarā ishq hī kār-e-ziyāñ Thahartā hai
Thahar ke dekh ghaḌī-bhar ke vāste 'sānī'
maqām kyā hai jahāñ ye jahāñ Thahartā hai