sahrā se naddī ke safar meñ ravāñ thī ḳhaak
yaanī apnī asl meñ ik imkāñ thī ḳhaak
aisī tāza-kārī is bosīda-varaq par
merī shakl meñ aane se pahle kahāñ thī ḳhaak
havā uḌaa.ī us ne ik ik aalam kī
ye us daur kī baat hai jab ki javāñ thī ḳhaak
ik ḳhushbū kī zad meñ thā us kā har raqs
aur isī ḳhushbū ke liye makāñ thī ḳhaak
us meñ jitnī girheñ thiiñ sab aab kī thiiñ
varna apne rañg meñ to āsāñ thī ḳhaak