Mahender Kumar Sani

raat din gardish mein hain lekin paDa rahta hun main

Mahender Kumar Sani

Faizabad, Uttar pradesh, India

1984
raat din gardish meñ haiñ lekin paḌā rahtā huuñ maiñ
kaam kyā merā yahāñ hai sochtā rahtā huuñ maiñ
bāhar andar ke jahānoñ se milā mujh ko farāġh
tīsrī duniyā ke chakkar kāTtā rahtā huuñ maiñ
ek be-ḳhaufī mujhe le aa.ī sāhil ke qarīb
aa ke ab nazdīk sāhil ke Darā rahtā huuñ maiñ
jaane kaisī raushnī thī kar ga.ī andhā mujhe
is bhayānak tīrgī meñ bhī bujhā rahtā huuñ maiñ
kar diyā kis ne mirā ā.īna-e-dil gard gard
aks huuñ kis kā havā se pūchhtā rahtā huuñ maiñ
ek jañgal sā ugā hai mere tan ke chāroñ or
aur apne man ke andar zard sā rahtā huuñ maiñ
ek nuqte se ubhartī hai ye saarī kā.enāt
ek nuqte par simaTtā phailtā rahtā huuñ maiñ
raushnī meñ lafz ke tahlīl ho jaane se qabl
ik ḳhalā paḌtā hai jis meñ ghūmtā rahtā huuñ maiñ
saañs kī lai par thiraktī hai koī azlī tarañg
rañg-e-'sānī' dekh kar hairat-zada rahtā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com